اطہرمسعود کا کالم — ۔دیدۂِ بینا

Athar Masood Column – Dida -e- Bina

So This Is The Honesty And Justice??? — Issay kehtay hain Eemaandari aur Insaaf جون 12, 2012

Issay kehtay hain Eemaandari aur Insaaf(So This Is The Honesty And Justice???)

Khareedi wohi cheez jaati hai jo bikao hoo aur khareedaar issay khareednay ki taaqat rakhta hoo.. warna dunya main a har shaks bazaar jins hota hai na har cheez… jab mandi lagay gi tu aap khareedaron ko nahi rok saktay…Hamaaray aksar tv anchor aur anchorian din raat apnay programmes main Khali kholi ilzamaat per baghair kisi saboot kay croron logon kay voton say muntakhab honay walay siasatdanon tabarra toltay aur bakwas kertay retay hain,uss waqt na unhain sahafti asool yad hotay hain na kisi zabta-e- akhlaq ki perwa,lekin joonhi kisi namuntkhab idaray ya shakhs ka haqeeqi scandle saamnay aata hay in ko tehqeeq bhi yad aa jaati hay aur in namnihad idaaron kay ihtram ka bhi khayal aa jaata hay phir in ki qainchi ki trah chalti zabanon ko bhi looni lag jaati hay aur tab sabooton aur un ki tasdeeq kay naam per chukeh chunancheh,aur agarcheh magarcheh jaisay adjectives ki bharmaar shuru ho jaati hay.Tab ilzamaat kay sath mubayyanah,bazahir aur ilzam ka lafz kahay baghair na un ka koi jumla shuru hota hay na khatm.

Malik Riaz yaqeenan aik mutnaazeah character hay,woh itna maasoom bhi nahin jitna uss ki rotion per pelnay waalay usay sabat kernay ki koshish ker rehay hai,woh aisa nake aur paarsa bhi nahin jo bilawajah kisi ko aik ghont paani bhi pila day,woh apnay mazdooron ko bhi utni faraakh dili say tankhaahain nahin deta jitna bataaya ja raha hay.Ham jaisay kaee uss say apni jaaiz mazdoori lainay kay liye adaalton main dhakkay khaatay rahay hain aur dhakkay kha rahay,uss kay muaamlat main adaalton ka tarz-e-amal kisi aur say mumkin hay dhaka chhupa ho ham say bilkull bhi nahin,kionkeh hamaari uss kay saath litigation iss waqt bhi Lahore High Court main pending hay aur insaaf ki iss dars gah ko koi teen saal say insaaf tow door ki baat hamain tareekh denay ka waqt bhi nahin mil saka,lekin iss sab kay baawajood woh Mansoor Ijaz jitna ganda bhi nahin,aik munkar-e-khatm-e-nabuvvat qadiyani jis ki saari zindgi Pakistan dushmani main guzar gaee lekin uss kay jhootay sachay ilzamat ko bunyad banaatay hue,Hussain Haqqani ko Ghaddari ka mulzim qaraar day dia gaya hay.

Memo commission ki karrawee ko jis andaz main chalaya ja raha tha uss ko dekhtay hue kisi ko shak nahin tha keh yahi faisla aae ga jo aaya hay,Jalib nay such kaha tha,

Yeh munsif bhi tow qaidi hain hamain insaaf kiya dein gay?

Likhha hay in kay chehron per,yeh jo kuchh faisla dain gay

Mian Nawaz Sharif ki tow syasi majboori thi keh woh aik syasi mumaamlay ko SC main lay gaye,lekin CJ ki kia majboori thi keh iss per apnay ikhtyarat say tajawuz kertay hue aik adalti commission bana dala?phir commission ka sarbrah kisi aur nahin uss shakhs ko banaya jisay unhon nay az khud aik aam wakeel say utha ker barahe rast aik high court ka chief justice banaya tha.Kia yeh hota hay insaaf aur yeh hoti hay shaffafiyat?Mukhalif fareeq byecot kiye hue hay aur aap uss per ghaddaari ka thappah laga rahay hain,kia aap ko faiz Ahmad faiz ,wali khan aur Shekh Mujeeb waalay comissions ka anjam bhool gaya gin ko tareekh nay aisay kooray danon main phainka keh aaj kisi ko na woh commissioms yad hain na unn kay judge.

Bajaae iss kay keh aap sabaq seekhtay aap apni purani dagar say hut he nahin rahay,Khawja Sharif qatal sazish aur lhr main wukala per tashadded kay hawalay say bhi aap nay he commission banaae thay un ki reporten aap kay pass peri peri gal sarh chali hain un per tow koi bench nahin bana lekin memoo kay mutalliq aap ki jaldi koi aur he kahani byan nahin ker rehi???Mehran Gate ka maqadma dahayon ke baad khuda khuda kar ke khula uss mai se bachay nikal ker jawan hoo rahay hain laikin asal muqadma waheen ka waheen khara hai…

Aap ko PPP say itni he nafrat hay tow aik he dafa ussay ghaddar aur watan dushman qarar de dein takek qissah he pak ho,ager Zulfiqar Ali Bhutto,Lakhhi baee ka beta tha,agar uss ki betee Benazir Bhutto Security Risk thi aur un ki party mulk torenay ki sazish ker rahi hay tow uss pabandi lagaaen takeh saari qaum ki jan chootay lekin insaaf kay naam per siasat na kerain kionkeh iss main kisi ka bhala nanin ho ga khaas taur per aap ka

Eemaandaari zabaani dawon nahin amal ka naam hay,baghair kisi saboot kay mahaz ilzam lagnay per aap jo naseehat Hamid Saeed kazmi ya Lateef Khosa ko ker rahay thay ab baraah-e rast aap ke baitay par aur bil waasta aap pa par 34 crore rupae ka ilzaam aanay per kud kion uss per amal nahin kertay?Malik riaz aik karobari shaks hai jissay jab tak maal sahi jagah puhanchnay ka yaqeen na hoo who arsalaan jaisay shaks ko aik dhaila bhi naa doo lekin aap tow ulta ker rahay hain,aik party dawa ker rahi hay keh aap kay betay nay aap kay naam per rishwat li,aap kay ahle khana uss kay kherchay per sairain kertay rahay aur aap ab bhi uss kay case khud sunnay per bazid hain,issay koi kuchh bhi keh lay eemandari koi nahin maanay ga.

Lahore kay puraanay logon ki yad dasht aaj bhi aik session judge ka naam zinda hay jiss nay apni poori naukri kay doran kabhi aik baar rishwat nahin li,un kay naam per lahore main aik sarak bhi mansoob hay,aik hall bhi un ki yad main banaaya gaya,unhon nay naukri say asteefa dia lekin jaatay jaatay qatal kay aik hindu mulzim ko baree kia aur uss kay aivaz mulzim kay wazan kay baraabar soona diya gaya,iss kay baad un ki saari zindgi sayasat main guzri ya phir ibaadat main

Raat ko khoob say pee subh ko tauba ker li

Rind kay rind rahay haath say jannat na gaee

 

 

تبصرہ کریں